Top 10 ways online Earning Resources, Job for Beginners Hindi

Top 10 ways online Earning Resources job for Beginners hindi


1. Blogger

Jaisa ki aap sabhi jaante hai blogger main bilkul free main sabhi apni website bana kar aur free main ghar baithe paise kama saktey.

Top 10 ways online Earning Resources for Beginners

Bus doston apke pass ek Gmail account hona chahiye or haan agar Apko likhne ka bhi shauk hai to aap dher sare paiSe kama saktey hai bina kisi jhanjhat ke...

Blogger pe free main account banane ke liye yaha par click kare ya fir blogger website par jaayein...

Main apko bta doon ki Blogger pe website banana bahut hi aasan hai isme kisi se kuchh bhi puchne ki jarurat nahi hai, bus step by step blogger apko batayega unko follow karo or bus ban gayi aapki website..

Dosto aap soch rahe honge ki blogger pe account kholte hi paise kamana start ho jayega to aisa nahi hai..

Uske liye aapko apne blogger a/c ya blog pe AdSense approve lena hoga jo bilkul aasan hai......fir aapki earning start ho jayegi dhere dhere...

Bus thoda sa intazar or thoda dhairya awashyak hai...aap sabhi jantey hai ki ek dum kuch bhi hansil nahi hota thoda bahut to mehnat karni padegi apko...post publish karke...ya fir yun kahe post likh karke..

2. Affiliate Marketing

Doston ye tarika bhi aasaan or bilkul free hai, isme aap kisi bhi company se jaise Amazon, Flipkart, Myntra, Jobang aadi site se  affiliate  account create karke bade hi aasani se paise kama saktey hai...

Uske liye aapko sabse pahle jis bhi company ka affiliate account banana chahtey hai ush company ke website pe janein or ush website me upar ki side ya niche ki side mai join for affiliate free ...Aisa kuchh likha dikhega.

In sabka link main niche attach kar raha hu wahan se bhi aap direct jis bhi company ko join karna chahe to join kar saktey hai.

Wahan par click karke form bhare or jo requirement hai use fill karke aap ka account ban jayega...uske  baad aapko ek ID milegi ya aap khud banayenge form bhartey time jo aapka Affiliate ID hoga Ya fir user Id bhi keh saktey hai...

Uske baad aapko ush affiliate Id se link generat karke ush link ko sabhi groups main ya fir apni website mei share Karna hai..

Fir uske baad se jo bhi aapke diye huye link se koi bhi item's khareedte  hai to aapko ush product ka Kuch percentage milta hai ye percentage depend karta hai ki aap kis item/link ka prachar parashar kar rahe hai..uske hisaab se milta hai...

Main kuch affiliate percentage ke links niche de rha hu aap ush per click karke or jaankari pa saktey hai..


Amazon affiliate account Join ke liye yahan par click kare

Flipkart affiliate account Join karne ke liye yahan click kare

Myntra affiliate account Join ke liye yahan par click kare

Amazon affiliate fee percentage metter click here 

Flipkart affiliate fee percentage meter click here

3. Bitcoin

Doston ye basically Bitcoin mein hi deal kartey hai ishi ko cryptocurrency bhi kahtey hai...iska market bahut bada hai..aap isko bhi aasaani se join kar saktey hai or money earn kar saktey hai.

Bitcoin darashal ek digital currency hai jise aap na dekh saktey hai na chho saktey hai lekin iska ishtmaal online kar saktey hai..

Ye actually main digital ankon pe kaam karti hai jiski shuruwat 2008-2009 mai huyi thi...ye kisi bhi bank se nahi juda hota hai ye pura ka pura computer network pe aadharit hota hai.

Note- Doston yaha per ek chiz janana bahut zaruri hai isme fraud bahut hota hai,

4. fiverr

Ye bahut hi parichit or acha platform hai un bhaiyon ke liye jo abhi abhi apna online business start kar rahe hai.

Kyuki isme aapko starting main paise to kam milenge ho sakta hai shuru shuru mai apko dikkat bhi aaye ..lekin doston jab aap ek baar kaam sikh gaye to aapko kaam ki koi bhi kami nahi rahegi...

Ye bilkul simple hai apko fiverr ke website par ja karke apna account banane hai or ek profile create karna hai kisi se kuchh puchh ne ki zarurat nhi hai just Join pe click karo or step follow karo thats its....

fiverr account banane ke liye yaha par click kare

or bhi hai isme bahut kuchh but jaise jaise aap kaam kartey rahoge nayi nayi chiz sikhte rahoge apne aap, in sab main ek khash baat hai vo ye ki...sab free hai or koi bhi join kar sakta hai bade hi aaram se..

agar apka kaam agar kisi ko pasand nahi aata to koi ghabrane ki baat nahi hai kyuki abhi aap sikh rahe ho to basic galti honi lajami si baat hai....bus aap kaam kartey rahe or aage badtey rahen....

5. Free lancer

Ye bhi fiverr ki hi tarah kaam karta hai bus isme  kaam karna aasan hota hai... wese dono hi asaan hai bus free lancer thoda jyada prashidh hai..

Free lancer mai aap data entry, article writing, typing... dher sare kaam hai aap jis kaam ko karna chahtey hai ya aapko jo kaam aata hai vo kaam le karke kar saktey ho..

Isme bhi account banana aasan hai simple sa tarika hai free lancer ki website pe jao profile create karo bus ho gaya....

Free lancer join ke liye yaha per click kare

Ek chiz or doston isme apko bit lagana hota hai matlab ye ki jab aap profile banaoge apni to apko waha pe ek section aayega ki aap hume ye kaam kitne mei karke de saktey hai...

starting mai kam hi likhna taki jaldi se aapko kaam mil jaay or uske baad jab aapko achhe se experience ho jaay to aap aasani se apna kaam ka rate bada saktey hai or aapko aasani se mil bhi jayega....

7. Radio Earn

Doston ye unke liye hai jinhe sunna pasand hai, ye bahut hi asaan hai apko isme kuch nahi karna hai bus radio sunna hai...or apko radio sunne ke paise milenge...

per radio sunne se pahle aapko account banana hoga unke site pe ja karke uske liye yaha par click kare....

Or ha ek chiz or batata deta hun iske baare mai aap ko ek id milegi jab aap apna account banaoge or apne us account se kisi ko bhi join karaoge to aapko pese to referral ke milenge hi sath mai.. agar ush referral se koi radio sun rha hai to bhi aapko paise milenge....

Ek trick batata hu isme jaruri nahi hai ki aap suno hi suno..aap radio start karke bhi so ya apna kaam kar saktey ho bus aapka radio on hona chahiye thats it.

8. Website Designer's

Ye basically unke liye hai jo website designe karna jantey hai aapko simple sa koi bhi ek platform chunna hai like free lancer ya fiverr jaise or bhi bahut hai just google website pe jaye or search kare online web designer aapko bahut si site or kaam mil jayega..

jo aapko aasani se kaam provide kara saket hai or ha aap khud apne doston ya family group mai bhi bta saktey hai taki aapko asani se kaam mil jaay.

agar aap Website Designer's hai to aapke liye job ki koi bhi kami nahi hogi, aap apni Web-shop, online  portal bhi khol saktey hai...its depend on you totally.

9. Share Marketing

Share marketing bhi bahut acha source hai income ka but isme aapko demat account ya fir online share marketing ke liye ek alag se account kholna hoga jisse aap len den kar saktey hai.

Lekin isme aapke account mai paise hona bahut zaruri hai kyuki agar apke account main paise nahi honge to aap share nahi kharid saktey aur aap apne paiso ko share market mai nahi laga sakte hai...or ek baat jab aap share market mai kisi bhi company ka share kharidte ho to aapko bahut savdhani rakhne ki zarurat hai isme nuksaan hone ke chance rahtey hai ...

Agar aapne sahi company ke share nahi kharede to aap ka nuksaan ho sakta hai or aapne ek baar share kharid lia to aapko thoda intzaar karna padega jab tak apke lage huye company ke share upar nahi ho jatey ya badh jatey.

or ushe tab baich dena chahiye jab ush company ke share bad jaay ya fir aap hold bhi rakh saktey hai, aap apne share kisi or ko jyada rate pe bhi bach saktey hai ....

Agar aap mein passion/dhairya hai to share marketing mai aap bade aaram se paise kama saktey hai or apne sapne pure kar saktey hai....

10. YouTube

Youtube sabse bada or sabSe jyada dekhe jane wala online platform hai, isme account banane ke liye aapko ek gmail A/c ki zarurat hoti hai bus....uske baad YouTube pe jaeye apna account banay or ha account usi naam ya niche pe banay jisme aap ko jaankari ho...

you tube pe account banana ekdam simple hai ya to you-tube ki website pe ja karke banay ya niche diye huye link pe click kar ke bhi aap bade assani se apna account bana saktey hai..

You Tube pe account banana ke liye click here

Ye zaruri nahi ki aapko iske liye achi khasi jankari chahiye bus apko ko video banane ka shauk ho jo apko kamyabi dila sakta hai...

Youtube me bahut simple hai account banana or video upload karna...doston lakho karodo log YouTube se ache khase paise kama rahe hai...

ye zaruri nahi hai ki aap video mai apna face dalein ya dikhayein aap kisi or ki vedio ka gaana ya chhoti chhoti video copy karke editing karke ek naye tarike se pais karke dikha saktey ho..usme aapka new style hona chahye or kuchh naya bhi...

Apko bus thoda sa intzar karna padta hai or jab aapke subscribe badh gaye to aapki earning start.....bus apko shuru shuru mai thodi mehnat to karni padegi....

Aap sabhi jantey hai ki kisi bhi kaam ko start karne se pahle aapko mehnat to karni padti hai khaas karke jo new bandey hotey hai unhe....bus ek baar aapne soch lia to fir aapko koi bhi nahi rok sakta...

Conclusion/Nishkarsh.

Aap sabhi jantey honge in sab platform ke bare mai agar ha to fir apko start karna chahiye agar aap online kamayi karna chahtey hai or apko nahi pta konsi site hai or kaha se start kare to aapko pura lekh padhna chahiye....isme top 10 online kaise kamaya jaay iske bare mai kuchh website or unke link diye gaye hai taki aap asani se ush link ke zariye ush website mei ja sake or apna account bana karke sidhe start kar sake..

Umeed hai aap logo ke thoda bahut kaam aayega ye article khas karke un bhaiyon ke liye jo abhi abhi is field mai utre hai...thodi mehnat thoda luck chahiye bus aapko safal hone se koi nahi rok sakta...wish you a very Good luck..

Post a Comment

0 Comments